Yeh Aaina song lyrics| Kabir Singh | Shahid Kapoor, Kiara Advani Nikita D| Amaal Mallik Feat.Shreya

YEH AAINA song lyrics from the movie KABIR SINGH: This song is sung by Shreya Ghoshal , lyrics are Written by Irshad Kamil and the Music is composed by Amaal Mallik. Starring Shahid K, Kiara A.

LYRICS:

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware
Itna lage sochne kyun
Main aaj kal tere baare

Tu jheel khamoshiyon ki
Lafzon ki main toh lehar hu
Ehsaas ki tu hai duniya
Chhota sa main ek sheher hu
Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware..

Khud se hai agar tu bekhabar
Bekhabar rakh loon main tera khayal kya
Chupke chupke tu nazar mein utar
Sapno mein loon main sambhal kya
Sapno mein loon main sambhal kya

Main daud ke paas aaun
Toh neend mein jo pukaare
Main rait hoon tu hai dariya
Baithi hoon tere kinaare

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware

Tanha hai agar tera safar
Humsafar tanhai ka main jawab hoon
Hoga mera bhi asar, tu agar
Padh le main teri kitaab hoon
Padh le main teri kitaab hoon

Seene pe mujhko saja ke
Joh raat saare guzaare
Toh main savere se keh doon
Mere sheher tu na aa re

Yeh aaina hai ya tu hai
Jo roz mujhko sanware